mujhe kyun na aawe saqi nazar aaftab ulTa
ki paDa hai aaj KHum mein qadah-e-sharab ulTa
ajab ulTe mulk ke hain aji aap bhi ki tum se
kabhi baat ki jo sidhi to mila jawab ulTa
chale the haram ko rah mein hue ek sanam ke aashiq
na hua sawab hasil ye mila azab ulTa
ye shab-e-guzishta dekha wo KHafa se kuchh hain goya
kahen haq kare ki howe ye hamara KHwab ulTa
abhi jhaD laga de barish koi mast baDh ke nara
jo zamin pe phenk mare qadah-e-sharab ulTa
ye ajib majra hai ki ba-roz-e-id-e-qurban
wahi zabh bhi kare hai wahi le sawab ulTa
yunhi wada par jo chhuTe to nahin milate tewar
ai lo aur bhi tamasha ye suno jawab ulTa
khaDe chup ho dekhte kya mere dil ujaD gae ko
wo gunah to kah do jis se ye hai wo KHarab ulTa
ghazal aur qafiyon mein na kahi so kyunki 'insha'
ki hawa ne KHud-baKHud aa waraq-e-kitab ulTa
Ghazal
Mujhe kyun na aawe saqi nazar aaftab ulTa
Insha Allah Khan u0027Inshau0027