اردو हिंदी
Mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin | Shaahi Shayari
mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin

Ghazal

Mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin

Hasan Aabid

;

mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin
ki apne dil ke siwa koi muddaa hi nahin

tera karam mere din kulfaton ke yun guzre
mujhe laga ki mere sath kuchh hua hi nahin

lahuluhan ho dil ya qalam ho sar jaana
teri gali ke siwa koi rasta hi nahin

ki jis mein phul khilen aur chaman mahak uThe
ye wo sahar hi nahin hai ye wo hawa hi nahin

hai KHush-mizaj magar dil ki baat kaise karen
ki ek pal ko sahi wo kabhi khula hi nahin

ajab hain ishq ki nazuk-mizajiyan yani
bujha charagh-e-mohabbat to phir jala hi nahin

ye kya jagah hai koi sun nahin raha aawaz
pukarta hun magar koi bolta hi nahin