mujhe kis tarah se na ho yaqin ki use KHizan se gurez hai
jo nasim-e-subh-e-bahaar ko mere gulsitan se gurez hai
ye ubudiyat ka hai iqtiza ki usi pe KHam ho meri jabin
ye ghalat kisi ne hai kah diya tere aastan se gurez hai
hai ajib qism ki bad-zani mujhe us ki koi KHabar nahin
gul-o-KHar ko bhi bahaar mein mere gulsitan se gurez hai
kuchh ajab nahin jo qadam qadam mere rahbar hi hon rahzan
nahin muttafiq koi fard jab mujhe karwan se gurez hai
mere dagh-e-dil ki hi tabishen hain jamal-baKHsh dil-o-nazar
yahi baat hai ki tamam shab mujhe kahkashan se gurez hai
ye shakeb se nahin aashna ise kuchh wafa se gharaz nahin
yahi raaz hai yahi wajh hai jo dil-e-tapan se gurez hai
hai talash-e-wusat-e-la-makan ki jahan pe kuchh ho sukun-e-dil
ho jahan bhi bandish-e-ab-o-gul mujhe us makan se gurez hai
ye tazad-e-ishq 'ghubar' hai koi kis tarah se samajh sake
kabhi pa-e-baz pe sar hai KHam kabhi aastan se gurez hai
Ghazal
Mujhe kis tarah se na ho yaqin ki use KHizan se gurez hai
Ghubaar Bhatti