mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
ye hadisa tha ki main umr bhar safar mein raha
main raqs karta raha sari umr wahshat mein
hazar halqa-e-zanjir baam-o-dar mein raha
tere firaq ki qimat hamare pas na thi
tere visal ka sauda hamare sar mein raha
ye aag sath na hoti to rakh ho jate
ajib rang tere nam se hunar mein raha
ab ek wadi-e-nisyan mein chhupta jata hai
wo ek saya ki yaadon ki rahguzar mein raha
Ghazal
Mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
Saqi Faruqi