mujhe kal mila jo sar-e-chaman wo tamam naKHl-e-shabab sa
koi baat us ki sharab si koi harf us ka gulab sa
jise zindagi na bhula sake jise maut bhi na miTa sake
wahi main hun 'ghaalib'-e-KHasta-jaan wahi 'mir'-e-KHana-KHarab sa
wo tamam gard fana hui mere jism-o-jaan pe jo bar thi
teri ek nazar mein simaT gaya mere sar pe tha jo azab sa
wahi ek manzar-e-KHush-ada kahin naqsh mein kahin rang mein
wahi us ki zulf ghazal-numa wahi us ka chehra kitab sa
koi baat us mein zarur thi jo mere KHayal mein rah gai
use kyun fareb-e-nazar kahun jise main ne dekha tha KHwab sa
dil-e-na-subur ke waste koi naqsh-e-naz bacha nahin
ye jahan-e-taza ye asr-e-nau jise dekhiye tah-e-ab sa
ajab ittifaq tha 'nami' ye ki hue baham bhi to kya hue
na shikasta koi meri tarah na girafta koi janab sa

Ghazal
Mujhe kal mila jo sar-e-chaman wo tamam naKHl-e-shabab sa
Nami Ansari