mujhe is jhamak se aaya nazar ek nigar-e-rana
ki KHur us ke husn-e-ruKH ko laga takne zarra-asa
KHad-o-KHal KHubi-agin lab-e-lal pan se rangin
nazar aafat-e-dil-o-din mizha sad-muzarrat-afza
paDi ruKH pe zulf-e-pur-KHam misi rashk-e-rang-e-nilam
gharaz is tarah ka aalam ki pari kahe aha-ha
kaha hum ne ai saman-bar pari-chehra mahr-paikar
jo chali ho yun jhamak kar kaho azm hai kidhar ka
hai ye waqt-e-sair-e-bustan phalen hum bhi sath ai jaan
kaha sun ke ye are myan koi tum bhi ho tamasha
hai ye aashnai agli na shanaKHt ek do din ki
jo hai dil-dahi ki marzi to hai loch phir ye kaisa
kaha jab 'nazir' hum ne yahi dil hain hum to rakhte
to kaha jo neki howe to phir us ka puchhna kya
Ghazal
Mujhe is jhamak se aaya nazar ek nigar-e-rana
Nazeer Akbarabadi