mujhe gharaz hai sitare na mahtab ke sath
chamak raha hai ye dil puri aab-o-tab ke sath
napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam
nibha rahe ho talluq baDe hisab ke sath
main is liye nahin thakta tere taaqub se
mujhe yaqin hai ki pani bhi hai sarab ke sath
sawal-e-wasl pe inkar karne wale sun
sawal KHatm nahin hoga is jawab ke sath
KHamosh jhil ke pani mein wo udasi thi
ki dil bhi Dub gaya raat mahtab ke sath
jata diya ki mohabbat mein gham bhi hote hain
diya gulab to kanTe bhi the gulab ke sath
main le uDunga tere KHadd-o-KHal se tabir
na dekh meri taraf chashm-e-nim-KHwab ke sath
are ye sirf bahana hai baat karne ka
meri majal ki jhagDa karun janab ke sath
visal-o-hijr ki sarhad pe jhuTpuTe mein kahin
wo be-hijab hua tha magar hijab ke sath
shikasta aaina dekha phir apna dil dekha
dikhai di mujhe tabir-e-KHwab KHwab ke sath
wahan milunga jahan donon waqt milte hain
main kam-nasib tere jaise kaamyab ke sath
dayar-e-hijr ke roza-guzar chahte hain
ki roza kholen tere aur sharab-e-nab ke sath
tum achchhi dost ho so mera mashwara ye hai
mila-jula na karo 'faris'-e-KHarab ke sath
Ghazal
Mujhe gharaz hai sitare na mahtab ke sath
Rehman Faris