اردو हिंदी
Mujhe fikr-o-sar-e-wafa hai hanuz | Shaahi Shayari
mujhe fikr-o-sar-e-wafa hai hanuz

Ghazal

Mujhe fikr-o-sar-e-wafa hai hanuz

Seemab Akbarabadi

;

mujhe fikr-o-sar-e-wafa hai hanuz
baada-e-ishq na-rasa hai hanuz

o nazar dil se pherne wale
dil tujhi par miTa hua hai hanuz

sari duniya ho na-umid to kya
mujhe tera hi aasra hai hanuz

aastan se abhi nazar na haTa
koi taqdir-azma hai hanuz

mahwiyyat be-sabab nahin 'simab'
ruh par koi chha raha hai hanuz