mujhe fareb-e-wafa de ke dam mein lana tha
ye ek chaal thi un ki ye ek bahana tha
na dard tha na KHalish thi na tilmilana tha
kisi ka ishq na tha wo bhi kya zamana tha
khuli jo aankh to sayyaad ke qafas mein khuli
na bagh tha na chaman tha na aashiyana tha
mere nasib mein thi maut is bahane se
kisi ka ishq meri maut ka bahana tha
koi kisi ka nahin is jagah ye mahshar hai
wo din gae ki sitamgar tera zamana tha
tere jamal ko tha koh-e-tur se kya kaam
nigah ban ke meri aankh mein samana tha
KHabar kise thi ki zanu se sar uTha doge
hamin se chuk hui aap mein na aana tha
hazar ranj hain ab ye bhi ek zamana hai
koi malal na tha wo bhi ek zamana tha
payam-bar kahin raste hi se na phir aae
tujhe bhi ai dil-e-betab sath jaana tha
raqib se na kabhi haal-e-dard-e-dil kahte
gharaz ye thi ki unhen is tarah sunana tha
suna kiya koi KHalwat mein raat bhar ai 'hijr'
ajib tarah ka dilkash mera fasana tha
Ghazal
Mujhe fareb-e-wafa de ke dam mein lana tha
Hijr Nazim Ali Khan