mujhe Dubo ke bahut sharmsar rahti hai
wo ek mauj jo dariya ke par rahti hai
hamare taq bhi be-zar hain ujalon se
diye ki lau bhi hawa par sawar rahti hai
phir us ke baad wahi basi manzaron ke julus
bahaar chand hi lamhe bahaar rahti hai
isi se qarz chukae hain main ne sadiyon ke
ye zindagi jo hamesha udhaar rahti hai
hamari shahr ke danishwaron se yari hai
isi liye to qaba tar tar rahti hai
mujhe KHaridne walo qatar mein aao
wo chiz hun jo pas-e-ishtihaar rahti hai
Ghazal
Mujhe Dubo ke bahut sharmsar rahti hai
Rahat Indori