mujhe dair se talluq na haram se aashnai
kahin qashqa-e-numaish kahin sajda-e-riyai
kisi jeb-e-dil mein dekhi na mata-e-ishq main ne
mere shahr mein luTa do mera dard-e-be-nawai
mere dil ke aaine ko na shikasta kar KHuda-ra
ki udas ho na jae tera husn-e-KHud-numai
koi kab pahunch saka hai tere gham ki sarhadon tak
wahi karwan ki manzil jo meri shikasta-pai
mere harf-e-sad-tamanna se khila to koi ghuncha
main nisar-e-yak-tabassum ki hui to lab-kushai
meri ghurbat-e-sahar ka na thaka ghurur warna
main chaman se mang leta koi sham-e-be-hayai
na 'shamim' naz karna ki atiya-e-junun hai
ye tera tarannum-e-gham ye teri ghazal-sarai

Ghazal
Mujhe dair se talluq na haram se aashnai
Shamim Karhani