اردو हिंदी
Mujhe dair bhi ho kyun kar na haram ki tarah pyara | Shaahi Shayari
mujhe dair bhi ho kyun kar na haram ki tarah pyara

Ghazal

Mujhe dair bhi ho kyun kar na haram ki tarah pyara

Amjad Najmi

;

mujhe dair bhi ho kyun kar na haram ki tarah pyara
tu yahan bhi jalwa-ara tu wahan bhi jalwa-ara

hai ajib ye tamasha hai ajib ye nazara
meri aahon ka sharara mere aansuon ka dhaara

wo payam-e-sham-e-gham ho ki nawed-e-subh-e-ishrat
mujhe ye bhi hai gawara mujhe wo bhi hai gawara

yunhi mujh ko Dubne do inhin mauj-ha-e-gham mein
ki muhit-e-gham ka shayad abhi dur hai kinara

na farogh-e-ru-e-taban na nigah-e-nur-afshan
mere iztirab-e-dil se mera raaz aashkara

koi kya samajh sakega ye hai faiz-e-ishq jis ne
mujhe is tarah bigaDa mujhe is tarah sanwara

koi chiz bhi hai qismat koi shai bhi hai muqaddar
ki main apni koshishon mein yahan bar-bar haara

ye hujum-e-na-umidi ye wufur-e-na-muradi
hun ajab musibaton mein main musibaton ka mara

mujhe ilm is ka kya tha mujhe kya KHabar thi 'najmi'
ki mujhi ko phunk dega mere ishq ka sharara