mujhe chheDne ko saqi ne diya jo jam ulTa
to kiya bahak ke main ne use ek salam ulTa
sahar ek mash phenka mujhe jo dikha ke un ne
to ishaara main ne taDa ki hai lafz-e-sham ulTa
ye bala dhuan nasha hai mujhe is ghaDi to saqi
ki nazar paDe hai sara dar-o-sahn-o-baam ulTa
baDhun us gali se kyunkar ki wahan to mere dil ko
koi khinchta hai aisa ki paDe hai gam ulTa
dar-e-mai-kada se aai mahak aisi hi maze ki
ki pichhaD kha gira wan dil-e-tishna-kaam ulTa
nahin ab jo dete bosa to salam kyun liya tha
mujhe aap pher dije wo mera salam ulTa
lage kahne aab maya tujhe hum kaha karenge
kahin un ke ghar se baDh kar jo phira ghulam ulTa
mujhe kyun na mar Dale teri zulf ulaT ke kafir
ki sikha rakha hai tu ne use lafz-e-ram ulTa
nire sidhe-sade hum to bhale aadmi hain yaro
hamein kaj jo samjhe so KHud walad-ul-haram ulTa
tu jo baaton mein rukega to ye jaanunga ki samjha
mere jaan-o-dil ke malik ne mera kalam ulTa
faqat is lifafe par hai ki KHat aashna ko pahunche
to likha hai us ne 'insha' ye tera hi nam ulTa
Ghazal
Mujhe chheDne ko saqi ne diya jo jam ulTa
Insha Allah Khan u0027Inshau0027