mujhe bhula ke mujhe yaad bhi rakha tu ne
ye kaisa dawa-e-dushwar phir kiya tu ne
hawa ne apne liye nam kuchh rakhe honge
thakan se puchh liya ghar ka rasta tu ne
hazar ki ab mere hathon mein muddaa bhi nahin
kiya hai laila-e-KHwahish ko be-ada tu ne
ye kaun teri tarah meri aankh mein chamka
jalai kaisi ye qindil-e-bad-dua tu ne
nigah-e-shab tere aangan mein KHwab DhunDhe thi
ye ab ke zaKHm bhi kaisa diya naya tu ne
tujhe mere liye nindon ke phul lane the
ye kaisa aankhon ko baKHsha hai ratjaga tu ne
libas badli hui raunaqon ke achchhe the
magar ye dil ki rakha hausla-qaba tu ne
qadam ukhaD se gae the bajae ham-safari
hawa ko oDh ke dekha tha bar-ha tu ne
rahi gurez ki tah-damani se bargashta
mujhe diya tha wo sauda-e-hausla tu ne
Ghazal
Mujhe bhula ke mujhe yaad bhi rakha tu ne
Kishwar Naheed