mujhe bhi nim ke jaisa na kar de
ki talKHi zist ki kaDwa na kar de
ye teri aarzu aisa na kar de
zamane mein mujhe ruswa na kar de
mohabbat zindagi se wo bhi behad
kahin ye zindagi dhoka na kar de
tu is se qabl ho aankhon se ojhal
mera malik mujhe andha na kar de
ata kar de ilahi phir se bachpan
mujhe har fikr se begana kar de
saja de din mein tare shab mein suraj
agar wo chahe to kya kya na kar de
siyasat ke agar bas mein ho 'gauhar'
mohabbat par bhi wo jurmana kar de
Ghazal
Mujhe bhi nim ke jaisa na kar de
Tanweer Gauhar