mujhe baghban se gila ye hai ki chaman se be-KHabari rahi
ki hai naKHl-e-gul ka to zikr kya koi shaKH tak na hari rahi
mera haal dekh ke saqiya koi baada-KHwar na pi saka
tere jam KHali na ho sake meri chashm-e-tar na bhari rahi
main qafas ko toD ke kya karun mujhe raat din ye KHayal hai
ye bahaar bhi yun hi jaegi jo yahi shikasta-pari rahi
mujhe alam tere jamal ka na KHabar hai tere jalal ki
ye kalim jaane ki tur par teri kaisi jalwagari rahi
main azal se aaya to kya mila jo main jaunga to milega kya
meri jab bhi dar-ba-dari rahi meri ab bhi dar-ba-dari rahi
yahi sochta hun shab-e-alam ki na aae wo to hua hai kya
wahan ja saki na meri fughan ki fughan ki be-asari rahi
shab-e-wada wo jo na aa sake to 'qamar' kahunga ye charKH se
tere tare bhi gae raegan teri chandni bhi dhari rahi
Ghazal
Mujhe baghban se gila ye hai ki chaman se be-KHabari rahi
Qamar Jalalvi

