اردو हिंदी
Mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat | Shaahi Shayari
mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat

Ghazal

Mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat

Yasmeen Hamid

;

mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat
ye charagh jalne laga hai is ko bujhao mat

mujhe jagna hai tamam umr isi tarah
mujhe subh-o-sham ke silsile mein milao mat

mujhe ilm hai mere KHal-o-KHad mein kami hai kya
mujhe aaine ka tilism koi dikhao mat

main KHulus-e-dil ki bulandiyon ke safar pe hun
mujhe dastan-e-fareb koi sunao mat

mujhe dekh lene do subh-e-farda ki raushni
meri aankh se abhi hath apna haTao mat

wahi peD hai wahi shaKH hai wahi nam hai
jo gira hai phul yahan se us ko uThao mat

mujhe tah mein ja ke uchhaalne hain guhar kai
main hun mutmain mujhe Dubne se bachao mat

tumhein be-maqam rafaqaton ki talash hai
mera shahr shahr-e-sabaat hai yahan aao mat