mujh sin gham dast-o-gareban na hua tha so hua
chaak sine ka numayan na hua tha so hua
ab talak mujh kun kisi shaKHs ke chehra ka KHayal
surat-e-aina-e-jaan na hua tha so hua
saf-e-ushshaq mein koi sani-e-majnun mujh sa
wahshi-e-koh-o-bayaban na hua tha so hua
ashk ole ho baraste hain mere daman mein
ye waraq nuqra-e-afshan na hua tha so hua
KHanjar-e-ishq ne ehsan kiya sar pe mere
jaan kandan kabhi aasan na hua tha so hua
qibla-ru rahm kiya mujh pe KHat-aghazi mein
kafir-e-hind musalman na hua tha so hua
aah-e-sozan sin mere daman-e-sahra mein 'siraj'
qabr-e-majnun pe charaghan na hua tha so hua
Ghazal
Mujh sin gham dast-o-gareban na hua tha so hua
Siraj Aurangabadi