اردو हिंदी
Mujh sin aur dilruba sin hai an-ban | Shaahi Shayari
mujh sin aur dilruba sin hai an-ban

Ghazal

Mujh sin aur dilruba sin hai an-ban

Abdul Wahab yakro

;

mujh sin aur dilruba sin hai an-ban
kiya karun fan kuchh aawati nahin ban

kuchh nahin aati sarw-qad sin ban
phirta hon gard-baad jiyun ban ban

zulf teri siyah nagan hai
chhin leti hai har kisi ka man

dars sin alam ke hai dil bezar
KHub-ruyan ka KHub hai darshan

mujh kun waiz nako nasihat kar
yar jis sin mile batao fan

yak su 'yakru' ka hath pahunchta nahin
kyunke pakDega yar ka daman