اردو हिंदी
Mujhse ye pyas ka sahra nahin dekha jata | Shaahi Shayari
mujhse ye pyas ka sahra nahin dekha jata

Ghazal

Mujhse ye pyas ka sahra nahin dekha jata

Hamid Mukhtar Hamid

;

mujh se ye pyas ka sahra nahin dekha jata
roz ab KHwab mein dariya nahin dekha jata

zarf ka aks kahin aur hi chal kar dekhen
aainon mein to ye chehra nahin dekha jata

tu hansi le ke meri aankh ko aansu de de
mujh se sukha hua dariya nahin dekha jata

dil ke auraq ki tahrir paDhi jati hai
un ke darbar mein sajda nahin dekha jata

pursish-e-gham ki sabhi rasm hain baqi lekin
in charaghon mein ujala nahin dekha jata

ahmiyat johd-e-musalsal ki nahin kam 'hamid'
sirf taqdir ka likhkha nahin dekha jata