mujh se mat puchh mera haal-e-darun rahne de
sun ke Tapkega teri aankhon se KHun rahne de
fasl-e-gul dasht-e-KHirad mein hai agarche maujud
mujh ko pa-basta-e-zanjir-e-junun rahne de
tu karam mujh pe karega to jataega zarur
haal jo mera zubun hai to zubun rahne de
sadgi si koi zinat nahin hoti jaanan
apni in shoKH adaon ka fusun rahne de
chheD kar phir wahi mazi ke purane qisse
mujh se mat chhin mere dil ka sukun rahne de
ai zamana main tere sath badalne se raha
ab main achchha ki bura jaisa bhi hun rahne de
Ghazal
Mujhse mat puchh mera haal-e-darun rahne de
Akhlaque Bandvi