mujh se itna na inhiraf karo
jo KHata ho gai muaf karo
main KHataon ko man leta hun
tum mohabbat ka e'tiraf karo
ye kudurat nahin tumhein zeba
dil ko meri taraf se saf karo
faisla tum pe ab to chhoD diya
mere haq mein karo KHilaf karo
meri har baat mein hai majburi
meri har baat ko muaf karo
saf hai mere dil ka aaina
mujh se tum baat saf saf karo
ku-e-jaanan maqam-e-faiz hai 'arsh'
tum isi kabe ka tawaf karo
Ghazal
Mujhse itna na inhiraf karo
Arsh Malsiyani

