اردو हिंदी
Mujhse bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin | Shaahi Shayari
mujhse bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin

Ghazal

Mujhse bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin

Iqbal Ashhar Qureshi

;

mujh se bichhDe ho to rah jaoge tanha bhi nahin
main tumhein yaad nahin aaunga aisa bhi nahin

main ne daman bhi bachaya to gunahgar hua
aur phir yun hua gharqab ki ubhra bhi nahin

wo tera zabt-e-mohabbat ho ki duniya ka nifaq
sab hi apne hain koi dard paraya bhi nahin

qadr-dan chahne walon ke ajab hote hain
us ne pahchan liya aur mujhe dekha bhi nahin

main use bhul ke zinda bhi nahin rah sakta
aur mera ahd mujhe puchhne wala bhi nahin