mujh se bichhaD ke wo bhi pareshan tha bahut
jis ki nazar mein kaam ye aasan tha bahut
socha to be-KHulus thin sab us ki qurbaten
jis ke baghair ghar mera viran tha bahut
be-KHwab surKH aankhon ne sab kuchh bata diya
kal raat dil mein dard ka tufan tha bahut
ye kya kiya ki pyar ka izhaar kar diya
main apni is shikast pe hairan tha bahut
wahshat mein kyun kisi ke gareban ko dekhta
mere liye to apna gareban tha bahut
ab to koi tamanna hi 'baqi' nahin rahi
ye shahr-e-arzu kabhi gunjaan tha bahut
Ghazal
Mujhse bichhaD ke wo bhi pareshan tha bahut
Baqi Ahmad Puri