mujh se be-zaro na yun sang se maro mujh ko
is se behtar hai ki patthar hi bana do mujh ko
kya wahi hun main abhi jis ki talab thi tum ko
mujh ko DhunDo mere pahchanne walo mujh ko
waqt tezab ki manind jhulas de na kahin
apne KHakistar-e-mazi mein daba do mujh ko
mujh se shamil hain kai KHwab-guzin sannaTe
aur nazdik zara aa ke sada do mujh ko
fasle kab kisi insan ko ras aae hain
tum jo bichhDe ho to kis tarah na gham ho mujh ko
Ghazal
Mujhse be-zaro na yun sang se maro mujhko
Atiiqullah