mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main
git hota hua tu git sunata hua main
ek kuze ke tasawwur se juDe hum donon
naqsh deta hua tu chaak ghumata hua main
tum banao kisi taswir mein koi rasta
main banata hun kahin dur se aata hua main
ek taswir ki takmil ke hum do pahlu
rang bharta hua tu rang banata hua main
mujh ko le jae kahin dur bahati hui tu
tujh ko le jaun kahin dur uData hua main
ek ibarat hai jo tahrir nahin ho pai
mujh ko likhta hua tu tujh ko miTata hua main
mere sine mein kahin KHud ko chhupata hua tu
tere sine se tera dard churaata hua main
kanch ka ho ke mere aage bikharta hua tu
kirchiyon ko teri palkon se uThata hua main
Ghazal
Mujhse banta hua tu tujhko banata hua main
Ammar Iqbal