mujh se aise wamanda-e-jaan ko bistar-wistar kya
pal do pal ko mund lun aankhen warna ghar-war kya
chhoDo kya rona le baiThe ranj-o-rahat ka
qaid hi jab Thahri hasti to behtar-wehtar kya
main bhi sar Takraata phira hun diwaron se bahut
DhunDh rahe ho is gumbad mein koi dar-war kya
aaKHir ko thak-haar ke mujh ko zamin par aana hai
zor-o-shor-e-bazu kaisa shahpar-wahpar kya
mere qalam hi se jab mera rizq utra hai
jaana hai ek kar-e-ziyan ko daftar-waftar kya
surat ek tarashunga to sau rah jaengi
kyun patthar ko subuk karun main paikar-waikar kya
baalida bar-awar hona miTTi ho jaana
sarsabz zarKHezi kaisi banjar-wanjar kya
aab o sarab o KHwab o haqiqat ek se lagte hain
dida-wari kya aaina ka jauhar-wauhar kya
mujh ko bahae le jati hai KHud hi mauj meri
mera rasta rok sakenge patthar-watthar kya
rang-e-shafaq sabze ka nasha kuchh nahin aankhon mein
dur KHala mein dekh raha hun manzar-wanzar kya
mera aur sahil ka rishta kab ka TuT chuka
'zeb' kahan ka KHema-e-kashti langar-wangar kya
Ghazal
Mujhse aise wamanda-e-jaan ko bistar-wistar kya
Zeb Ghauri