mujh sa na de zamane ko parwardigar dil
aashufta dil farefta dil be-qarar dil
har bar mangti hain naya chashm-e-yar dil
ek dil ke kis tarah se banaun hazar dil
mashhur ho gai hai ziyarat shahid ki
KHun-kushta aarzu ka bana hai mazar dil
ye said-gah-e-ishq hai Thahraiye nigah
sayyaad-e-muztarib se na hoga shikar dil
tufan-e-nuh bhi ho to mil jae KHak mein
allah re ghubar tera pur ghubar dil
puchha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kaun
nikla meri zaban se be-iKHtiyar dil
karte ho ahd-e-wasl to itna rahe KHayal
paiman se ziyaada hai na-paedar dil
tasir-e-ishq ye hai tere ahd-e-husn mein
miTTi ka bhi banaen to ho be-qarar dil
us ki talash hai ki nazar aae aarzu
zalim ne roz chaak kiye hain hazar dil
aalam hua tamam raha us ko shauq-e-hur
barsae aasman se parwardigar dil
pahle-pahal ki chah ka kije na imtihan
aana to sikh le abhi do-chaar bar dil
nikle meri baghal se wo aise taDap ke sath
yaad aa gaya mujhe wahin be-iKHtiyar dil
ai andalib tujh ko lage kab hawa-e-ishq
kaliyon ki tarah tujh mein na phuTe hazar dil
aashiq hue wo jaise adu par ye haal hai
rakh kah ke hath dekhte hain bar bar dil
us ne kaha hai sabr paDega raqib ka
le aur be-qarar hua be-qarar dil
betab ho ke bazm se us ki uTha diya
ghafil main hun magar hai bahut hoshyar dil
mashhur hain sikandar o jam ki nishaniyan
ai 'dagh' chhoD jaenge hum yaadgar dil
Ghazal
Mujh sa na de zamane ko parwardigar dil
Dagh Dehlvi