mujh sa bhi koi ishq mein hai bad-guman nahin
kya rashk dekh kar mujhe rang-e-KHizan nahin
aankhon se dekh kar tujhe sab manna paDa
kahte the jo hamesha chunen hai chunan nahin
uTh kar sahar ko sajda-e-mastana ke siwa
taat qubul KHatir-e-pir-e-mughan nahin
afsurda dil ho dar dar-e-rahmat nahin hai band
kis din khula hua dar-e-pir-e-mughan nahin
ai jazb-e-shauq rahm ki madd-e-nazar hai yar
ja sakti wan talak nigah-e-na-tawan nahin
shab us ko haal-e-dil ne jataya kuchh is tarah
hain lab to kya nigah bhi hui tarjuman nahin
kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq
shayad ki gardish aaj tujhe aasman nahin
achchha hui nikal gai aah-e-hazin ke sath
ek qahr thi bala thi qayamat thi jaan nahin
jaane hai dil falak ka meri saKHt-jaaniyan
un na-tawaniyon ko pahunchti tawan nahin
kahta hun us se kuchh main nikalta hai munh se kuchh
kahne ko yun to haigi zaban aur zaban nahin
mahka hua hai bait-e-huzan dekhna koi
aaya nasim-e-misr ka ho karwan nahin
lab band hun to rauzan-e-sina ko kya karun
thamta to mujh se nala-e-atish-inan nahin
kya kuchh na kar dikhaun par ek din ke waste
milta bhi hum ko mansab-e-haft-asman nahin
wo shaKH-e-naKHl-e-KHushk hun mein kunj-e-bagh mein
dekhe hai bhul kar bhi jise baghban nahin
be-waqt aae dair mein kya shorishen karen
hum pir-opir-e-mai-kada bhi naujawan nahin
'azurda' ne paDhi ghazal ek mai-kade mein kal
wo saf-tar ki sina-e-pir-e-mughan nahin
Ghazal
Mujh sa bhi koi ishq mein hai bad-guman nahin
Mufti Sadruddin Aazurda