mujh sa anjaan kisi moD pe kho sakta hai
hadsa koi bhi is shahr mein ho sakta hai
sath-e-dariya ka ye saffak sukun hai dhoka
ye teri naw kisi waqt Dubo sakta hai
KHud kuan chal ke kare tishna-dahanon ko ghariq
aisa mumkin hai meri jaan ye ho sakta hai
be-tarah gunjta hai ruh ke sannaTe mein
aise sahra mein musafir kahan so sakta hai
qatl se hath uThata nahin qatil na sahi
KHun se luThDe hue hath to dho sakta hai
jhum kar uThta nahin khul ke barasna kaisa
kaisa baadal hai ki hansta hai na ro sakta hai
juz mere rishta-e-anfas-e-girah-gir mein kaun
guhar-e-ashk-e-sharar-bar piro sakta hai
Ghazal
Mujh sa anjaan kisi moD pe kho sakta hai
Tahseen Firaqi