mujh pe rakhte hain hashr mein ilzam
aa na jae zaban pe tera nam
zabt ki koshishen bhi jari hain
dard bhi kar raha hai apna kaam
jo ibarat na ho tere gham se
ahl-e-dil par wo zindagi hai haram
waqfa-e-maut bhi ghanimat hai
kuchh to fil-jumla mil gaya aaram
us ne dekha hai sham ka manzar
jis ne dekhi hai bekason ki sham
kis se ab dard ki dawa chahun
dard uThta hai le ke tera nam
ab qayamat qarib hai 'fani'
fitna-e-ishq ho chala hai tamam
Ghazal
Mujh pe rakhte hain hashr mein ilzam
Fani Badayuni