mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hun so hun
mujh ko apne se juda rakh ki main jo hun so hun
main ki maslub hun de mujh ko bhi zalim ka KHitab
sunnat-e-isa jila rakh ki main jo hun so hun
mere ghar mein hai jo ghasib to nikalun ki nahin
mujh pe ilzam-e-jafa rakh ki main jo hun so hun
tere maqtul pe sargarm hain sare munsif
meri lashon ko uTha rakh ki main jo hun so hun
garm aahon pe hai ilzam ki hun shoala-nafas
mujh ko phunkon se bujha rakh ki main jo hun so hun
kyun sahifon mein likha hai ki milega insaf
lafz-o-mani na juda rakh ki main jo hun so hun
teri zambil mein har chaal purani hai raqib
mujh ko apnon se laDa rakh ki main jo hun so hun
apne wirse se tera qabza haTana hai haris
nam dahshat ki bala rakh ki main jo hun so hun
main ne aankhon mein jala rakha hai aazadi ka tel
mat andheron se Dara rakh ki main jo hun so hun
gar mera haq na milega to bigaD jaegi baat
apne pahlu se laga rakh ki main jo hun so hun
karbala rakh ke hatheli pe chala hun ghar se
baiat-e-zulm haTa rakh ki main jo hun so hun
jab zaminon mein jaDen hain to kidhar jaunga
meri shaKHen na kaTa rakh ki main jo hun so hun
adl ki miTTi mein ugte nahin dahshat ke babul
apni miTTi ko safa rakh ki main jo hun so hun
band aankhon se siyah-ru nazar aaega 'anis'
chashm-e-bina ko khula rakh ki main jo hun so hun
Ghazal
Mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hun so hun
Anees Ansari