mujh pe aisa koi sher nazil na ho
jis ki hiddat mere KHun mein shamil na ho
fikr aise muhit-e-suKHan ki karo
jis ki amwaj ka koi sahil na ho
aaj ek bint-e-maryam hai aaghosh mein
mujh pe ai ruh-e-quds aaj nazil na ho
be-muhaba mile hijr ho ba-visal
koi diwar raste mein mail na ho
shaKH par hai guman gul se andesha hai
ye bhi KHanjar na ho ye bhi qatil na ho
karwan-e-junun de raha hai sada
jaan ho pyari jise hum mein shamil na ho
kash wo waqt bhi aae duniya mein jab
zar pukare magar koi sail na ho
meri tanhai ko mera maqsum kar
meri manzil zamane ki manzil na ho
hukm de jaan-e-'sahba' nai fikr ka
ye ghazal bhi agar tere qabil na ho

Ghazal
Mujh pe aisa koi sher nazil na ho
Sahba Akhtar