اردو हिंदी
Mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota | Shaahi Shayari
mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

Ghazal

Mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota

Mohammad Usmaan Arif

;

mujh par teri nazron ka jo ehsan nahin hota
hathon se mere chaak gareban nahin hota

KHali kabhi kanTon se gulistan nahin hota
kanTon se kabhi phul pareshan nahin hota

kuchh dard ho kuchh soz ho kuchh nur ho dil mein
bas KHak ka putla hi to insan nahin hota

ai dost samajhta hun teri pursish-e-gham ko
baaton se kabhi dard ka darman nahin hota

kyun us ko mere chaak-e-gareban ki KHabar ho
gesu bhi kabhi jis ka pareshan nahin hota

ai barq-e-jahan-soz tujhe ye bhi KHabar hai
aashiq ka nasheman kabhi viran nahin hota

har phul ko dekhun ye hai aawara-nigahi
har naqsh mein to jalwa-e-jaanan nahin hota

mamnun-e-karam ek zamana hai hamein kya
hum par to kabhi aap ka ehsan nahin hota

khulta hai koi raaz-e-nihan dekh chaman mein
ghunchon ka yunhi chaak gareban nahin hota

phulon se bahal jaun wo diwana nahin hun
kanTon se ulajhne ko to daman nahin hota

maujon ko bana leta hun main apna safina
tufan bhi mere samne tufan nahin hota

main jin pe fida hun wahi jalwe hain nazar mein
aaina tujhe dekh ke hairan nahin hota

kis manzil-e-dushwar mein hun ishq ki 'arif'
un se bhi mere dard ka darman nahin hota