mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se
duniya meri badal gai ek nigah-e-naz se
aankh mein gar na aa sake dil to maqam hai tera
KHalwat-e-dil mein aa kabhi apne harim-e-naz se
saqi-e-mehrban pila baada-e-marifat-asar
mast bana ke de KHabar husn-e-azal ke raaz se
dekh nigah-e-shauq se husn-o-jamal ka jahan
jalwa hi jalwa chaar-su husn-e-nazar-nawaz se
jam-e-farang ka nasha fikr-o-nazar ki marg hai
dil ka bhala na ho saka baada-e-KHun-taraaz se
mujh ko fareb de gaya tujh ko fareb de gaya
zahr pila gaya farang jam-e-zamana-saz se
qalb-o-jigar bhaDak uThe baada-e-nau ki aag se
dil ko sakun mila hamein 'taj' mai-e-hijaz se
Ghazal
Mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se
Zahiir Ahmad Taaj