اردو हिंदी
Mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi | Shaahi Shayari
mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi

Ghazal

Mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi

Iqbal Abidi

;

mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi
shayad kisi ki zulf-e-pareshan nahin rahi

wahshat tak aa gaya hai mohabbat ka silsila
ab mujh ko fikr-e-jeb-o-gariban nahin rahi

mere jigar mein KHun ke qatre nahin rahe
un ki nazar mein barash-e-pinhan nahin rahi

zauq-e-talab se teri inayat baDh gain
meri nazar mein wusat-e-daman nahin rahi

dil yun bujha bujha sa hi kho kar tumhaari yaad
mahfil mein jaise sham-e-farozan nahin rahi

kis darja dil-shikan hai gulistan ka inqalab
bulbul bhi ab chaman mein ghazal-KHwan nahin rahi

'iqbaal' sard ho gai bazm-e-hayat bhi
jab se dilon mein aatish-e-sozan nahin rahi