mujh par inayaten hain kai sahiban ki
kuchh hain zamin walon ki kuchh aasman ki
apne safar ka tanha musafir nahin hun main
izzat juDi hai mujh se mere KHandan ki
wo mujh ko aazma ke kaDi dhup mein raha
mujh ko KHizan bahaar lagi imtihan ki
'KHusraw-amir' ki ya barahman ki ho ghazal
muhtaj kab rahi hai kisi bhi zaban ki
hindi ki apni shan hai urdu ki apni shan
donon hi aan-ban hain hindostan ki
Ghazal
Mujh par inayaten hain kai sahiban ki
Ashok Mizaj Badr