اردو हिंदी
Mujh par ai mahram-e-jaan parda-e-asrar kun khol | Shaahi Shayari
mujh par ai mahram-e-jaan parda-e-asrar kun khol

Ghazal

Mujh par ai mahram-e-jaan parda-e-asrar kun khol

Siraj Aurangabadi

;

mujh par ai mahram-e-jaan parda-e-asrar kun khol
KHwab-e-ghaflat sen uTha dida-e-bedar kun khol

dil kun ab daman-e-sahra-e-junun yaad aaya
aql ke dam sen us said-e-giraftar kun khol

ai nasim-e-sahari bu-e-mohabbat le aa
turra-e-yar sati itr ki mahkar kun khol

aarzu hai meri aankhon sen rawan hoen aansu
nashtar-e-gham sen rag-e-abr-e-guhar-bar kun khol

main KHaridar hun de jins-e-junun KHatir-KHwah
ai gham-e-qafila-salar Tuk is bar kun khol

qafas-e-gham mein dil-afsurda rahunga kab tak
naghma-e-shauq sen mere lab-e-guftar kun khol

qissa-e-dard kun anjam nahin misl-e-'siraj'
gham ke daftar kun lapeT aah ke tumar kun khol