mujh na-tawan pe hashr mein wahm-e-fughan ghalat
main guftugu ki tab rakhun ye guman ghalat
tum bhi wahi kaho to kahen sab baja durust
main bhi wahi kahun to kahe ek jahan ghalat
garmi se us ke husn ki kis ka jigar jala
tashbih-e-mehr-o-ru-e-niku-e-butan ghalat
kahiye asir-e-KHwahish-e-sumbul koi hua
deni misal-e-kakul-e-ambar-fishan ghalat
sach hai ki aadmi ko gharaz aadmi se hai
waiz bayan-e-dilkash-e-hur-e-jinan ghalat
kah kar tamam 'salik'-e-gham-gin ka majra
main ne kaha ghalat hai to bole ki han ghalat

Ghazal
Mujh na-tawan pe hashr mein wahm-e-fughan ghalat
Salik Dehlvi