mujh mein soe hue mahtab se kam waqif hai
tu meri aankh ke talab se kam waqif hai
bughz-e-ada KHu-e-ahbab se kam waqif hai
jo mere halqa-e-arbab se kam waqif hai
satwat-e-qasr-e-shahi dhoke mein rakhta hai ki jo
azmat-e-gumbad-o-mehrab se kam waqif hai
ishq ki chahiye talim abhi aur use
jo mohabbat adab aadab se kam waqif hai
zist karne ko bahut chashm-e-fusun-kar mujhe
wo mere ishq ke zartab se kam waqif hai
manawi taur par us pe main mukammal na khuli
wo meri zat ke erab se kam waqif hai
tujh pe main kholungi ek din sabhi auraq-e-jamal
tu abhi husn ke abwab se kam waqif hai
kya banega jo na Tal pai bala-e-furqat
hijr to wasl ke asbab se kam waqif hai
ek hi shaKHs ka karti hai adab dhaDkan bhi
dil to duniya tere aadab se kam waqif hai
itna poshida use rakkha hai 'amabar' sab se
aankh apni bhi mere KHwab se kam waqif hai
Ghazal
Mujh mein soe hue mahtab se kam waqif hai
Nadiya ambar lodhi