mujh mein hai kuchh dard bacha so zinda hun
chaaragar ne bol diya so zinda hun
main bas marne hi wala tha phir us ne
honTon par ek lams rakha so zinda hun
mujh ko ek faqir ne sikke ke badle
di hogi bharpur dua so zinda hun
socha tha ab maut ki nind main sounga
KHwab mein kuchh nayab dikha so zinda hun
jina wo bhi hosh mein rah ke mushkil tha
karta hun ab rose nasha so zinda hun
us ne bola yaad mujhe tum mat karna
main ne bhi phir man liya so zinda hun
kuchh baaten jo tum se kahni baqi hain
milna hai bas ek dafa so zinda hun
us se mil kar mazi ko kya yaad karun
achchha hai main nahin mila so zinda hun
chahen kitne bhi haalat bure hon par
'mit' mein ab bhi bachi ana so zinda hun
Ghazal
Mujh mein hai kuchh dard bacha so zinda hun
Amit Sharma Meet

