mujh ko yun mujh se mila de koi
main sada dun to sada de koi
main ne puchha to hai anjam-e-wafa
ab ye Dar hai na bata de koi
aarzu ye hai ki KHushbu apni
meri sanson mein basa de koi
us ke ruKHsar-e-shafaq-gun ki chamak
mere honTon pe saja de koi
jo jafa pyar se tu ne ki hai
us ko kyun kar na bhala de koi
KHun-e-dil se jo likha hai main ne
kash ashkon se miTa de koi
nazren phir us ko uTha bhi na saken
KHud ko itna na gira de koi
ishq mein bandh ke paiman-e-wafa
mujh ko jine ki dua de koi
samjhen hum zahr-e-tamanna us ko
apni aankhon se pila de koi
aas hi TuT na jae KHalid
jab dawa de na dua de koi

Ghazal
Mujhko yun mujhse mila de koi
Khalid Fatehpuri