mujh ko to maraz hai be-KHudi ka
zahid ko guman hai mai-kashi ka
har rang hai tere aage phika
mahtab hai phul chandni ka
chal jaega kaam kuchh kisi ka
munh muD na gaya agar chhuri ka
har waqt hain maut ki duaen
allah re lutf zindagi ka
aaina bana rahe ho dil ko
dil TuT na jae aarsi ka
hum kahte the juDe mein nahin phul
aaKHir nikla wo dil kisi ka
kahiye abhi ek ada pe kaT jaen
dam dekhte the faqat chhuri ka
miTti nahin dushmani kisi ki
rang us mein hai meri dosti ka
bose ko jagah mili labon par
ab rang jamega kya misi ka
pyare pyare the phul se honTh
dhabba ye bura laga misi ka
iThla iThla ke un ko chalna
miT jae bala se dil kisi ka
pate hain jo mujh ko ji se bezar
kahte hain maza hai aashiqi ka
hon ek se sab hasin kyunkar
hai rang juda kali kali ka
pahle to the mahw-e-did musa
ab lete maza hain be-KHudi ka
samjhe the na hum ko tum pe marna
ho jaega rog zindagi ka
shoKHi mazmun ki le uDi hai
aalam hai sher mein pari ka
khinchen jo wo tir dil bhi de sath
haq kuchh to ada ho dosti ka
nale bulbul ke the ki chhuriyan
dil TukDe hua kali kali ka
uThne na diya kisi ke dar se
ehsan hai mujh pe laghari ka
phulon se kaho ki roti hai os
ab is se maza nahin hansi ka
kahte the na hum 'jalil' tum se
anjam bura hai dil-lagi ka
Ghazal
Mujhko to maraz hai be-KHudi ka
Jaleel Manikpuri