mujh ko tere suluk se koi gila na tha
zahr ab pi raha tha magar lab-kusha na tha
kanTon se jism chhalni hai mera isi liye
phulon se pyar karne ka kuchh tajraba na tha
lakhon tamash-bin hain aur hum salib par
ek waqt wo tha koi hamein dekhta na tha
kya jaane us ki aankh mein kyun ashk aa gae
chehre pe mere kuchh bhi to likha hua na tha
duniya samajh na paegi majburiyan teri
mujh ko to hai yaqin ki tu bewafa na tha
kya tu ne chhoD rakkha hai zulfen sanwarna
itna to pahle main kabhi uljha hua na tha
ghurbat ki chandni ne dikhae the raste
hum ko kisi charagh se koi gila na tha
yaadon ne dastaken to bahut bar din 'shakil'
lekin kisi ke dil ka daricha khula na tha
Ghazal
Mujhko tere suluk se koi gila na tha
Shakeel Shamsi