mujh ko tere KHayal se wahshat kabhi na thi
is darja be-adab ye tabiat kabhi na thi
had hai usi ke pas hai kirdar ki sanad
jis ki tamam shahr mein izzat kabhi na thi
yaro dua karo ye koi hadsa na ho
pahle yun intizar mein lazzat kabhi na thi
ya to jafaen aap ki had se guzar gain
ya phir hamein sazaon ki aadat kabhi na thi
'jazib' gham-e-hayat ki talKHi zaban pe hai
warna hamein jahan se shikayat kabhi na thi
Ghazal
Mujhko tere KHayal se wahshat kabhi na thi
Shakeel Jazib