mujh ko talab to nai duniya ki hai
rahbari naqsh-e-kaf-e-pa ki hai
baadiya-paimai-e-wahshat se tang
be-ufaqi wusat-e-sahra ki hai
hai wahi maujud jo hai didani
rae yahi dida-e-bina ki hai
ghur rahi hai jise pyasi nazar
shakl wo mai ki nahin mina ki hai
dil-kashi-e-pech-o-KHam-e-pairahan
den KHam-o-pech-e-sarapa ki hai
zulf-e-pareshan ke talawwun mein bhi
KHubi-e-tamkin ruKH-e-zeba ki hai
mujh se wo hai mujh se ziyaada qarib
KHwahish-e-qurb us se ziyaada ki hai
yun to kinayon ka bhi aadi hai dar
dil ki hawas is ke alawa ki hai
naqsh mein nuqton ke siwa kuchh nahin
shakl-gari shauq-e-tamasha ki hai
sabt 'muhib' us lab-e-jaan-baKHsh par
tishna-labi meri tamanna ki hai
Ghazal
Mujhko talab to nai duniya ki hai
Muhib Aarfi

