اردو हिंदी
Mujhko shikastagi ka qalaq der tak raha | Shaahi Shayari
mujhko shikastagi ka qalaq der tak raha

Ghazal

Mujhko shikastagi ka qalaq der tak raha

Bekal Utsahi

;

mujh ko shikastagi ka qalaq der tak raha
kyun chehra phir janab ka faq der tak raha

yun to kai kitaben paDhin zehn mein magar
mahfuz ek sada waraq der tak raha

aksar shab-e-visal tere ruThne ke baad
ehsas par tilism-e-ramaq der tak raha

ab hai kitab-e-ishq mein jo sada o salis
pahle wo lafz lafz-e-adaq der tak raha

suraj ke sar ko sham ke neze pe dekh kar
dast-e-zamin pe rang-e-shafaq der tak raha

us ka jawab ek hi lamhe mein KHatm tha
phir bhi mere sawal ka haq der tak raha

'bekal' jise bhula ke zamana hai mutmain
tujh ko hi yaad wo bhi sabaq der tak raha