اردو हिंदी
Mujhko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow | Shaahi Shayari
mujhko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow

Ghazal

Mujhko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow

Nazm tabaa-tabaa.ii

;

mujh ko samjho yaadgar-e-raftagan-e-lucknow
hun qadd-e-amdam ghubar-e-karwan-e-lucknow

KHun-e-hasrat kah raha hai dastan-e-lucknow
rah gaya hai ab yahi rangin-bayan-e-lucknow

gosh-e-ibrat se sune koi meri fariyaad hai
bulbul-e-KHunin nawa-e-bostan-e-lucknow

mere har aansu mein ek aaina-e-taswir hai
mere har nale mein hai tarz-e-fughan-e-lucknow

DhunDhta hai ab kise le kar charagh-e-aftab
kyun miTaya ai falak tu ne nishan-e-lucknow

lucknow jin se ibarat thi hue wo napadid
hai nishan-e-lucknow baqi na shan-e-lucknow

ab nazar aata nahin wo majma-e-ahl-e-kamal
kha gae un ko zamin-o-asman-e-lucknow

pahle tha ahl-e-zaban ka daur ab gardish mein hain
chahiye thi tegh-e-urdu ko fasan-e-lucknow

marsiya-go kitne yakta-e-zamana the yahan
koi to itnon mein hota nauha-KHwan-e-lucknow

ye ghubar-e-na-tawan KHakistar-e-parwana hai
KHandan apna tha sham-e-dudman-e-lucknow

chalta tha jab ghuTniyon apne yahan tifl-e-razia
sajda karte the use gardan-kushan-e-lucknow

ahd-e-pirana-sari mein kyun na shirin ho suKHan
bachpane mein main ne chusi hai zaban-e-lucknow

gulshan-e-firdaus par kya naz hai rizwan tujhe
puchh us ke dil se jo hai rutba-dan-e-lucknow

bu-e-uns aati hai 'haidar' KHak-e-maTiya-burj se
jama hain ek ja watan-awargan-e-lucknow