mujh ko na-karda gunah ka mo'tarif hona paDa
rasm aisi thi ki KHud se munharif hona paDa
koi bhi mujh sa na tha bebak bazm-e-shauq mein
is tarah mujh ko sabhon se muKHtalif hona paDa
ek hi shai thi ki jis par bach raha tha e'timad
pas mujhe apni ana se muttasif hona paDa
wo yaqinan raaz-andar-raaz tha lekin use
ek din mujh na-tawan par munkashif hona paDa
kya bataun mabad-e-tanhai mein mujh rind ko
umr-bhar ke waste kyun moatakif hona paDa
Ghazal
Mujhko na-karda gunah ka motarif hona paDa
Ain Tabish