mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand
donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand
ye dil wahi to hai jo tumhein ab hai na-pasand
mashuq kar chuke hain jise bar-ha pasand
jins-e-wafa ko karte hain ahl-e-wafa pasand
dushman ko kya tamiz hai dushman ki kya pasand
jannat ki koi hur nazar par chaDhi nahin
duniya mein mujh ko ek pari-zad tha pasand
rondi kisi ne pa-e-hinai se meri nash
thi zindagi mein mujh ko jo bu-e-hina pasand
wo bad-nasib hai jise aaya pasand tu
qismat to us ki hai jise tu ne kiya pasand
chiDte hain wo sawal se ye hum samajh gae
hai is liye unhen dil be-muddaa pasand
surat bhi pesh-e-chashm hai sirat bhi pesh-e-chashm
dam bhar mein to pasand hai dam bhar mein na-pasand
tujh ko ghurur-e-zohd hai sharm-e-gunah mujhe
zahid kise KHabar ki KHuda ko ho kya pasand
choTen chalengi KHub barabar ki joD hai
tu hai ada-shanas to main hun ada-pasand
hir phir ke un ki aankh udu se laDe na kyun
fitna ko karti hai nigah-e-fitna-za pasand
main KHud sikha raha hun sitam ki ada unhen
duniya mein kab hua koi mujh sa jafa-pasand
rakh denge aaine ke barabar hum apna dil
ya to ye na-pasand hua un ko ya pasand
kis darja sada-lauh hain aashiq-mizaj bhi
jo Dhab pe chaDh gaya wo unhen aa gaya pasand
mera hi kya qusur ye mujh par sitam hai kyun
aankhon ne dekha aap ko dil ne kiya pasand
inkar sun chuke hain talabgar kyun banen
milta nahin koi to hai be-faeda pasand
'beKHud' to mar miTe jo kaha us ne naz se
ek sher aa gaya hai hamein aap ka pasand
Ghazal
Mujhko na dil pasand na wo bewafa pasand
Bekhud Dehlvi